lahū-nosh  lamhoñ  ke  bedār  saa.e
use  gher  leñge  sināneñ  uThā.e
vo  sūraj  kā  sāthī  añdheroñ  ke  ban  meñ
asāsa  liye  fikr  kā  apne  fan  meñ
ġhazabnāk  tanhā.iyoñ  ko  yaqīñ  hai
ki  us  ke  muqaddar  meñ  vo  ḳhud  nahīñ  hai
shahr-zād  shabnam  se  ye  pūchhtā  hai
ki  sūraj  ke  siine  meñ  kyā  kyā  chhapā  hai
tah-e-ātish-e-sruḳh-rū  vo  savālī
ki  jis  ne  hathelī  pe  sarsoñ  jamā  lī
kabhī  is  nagar  meñ  kabhī  us  nagar  meñ
kabhī  bas  gayā  sirf  dīvār-o-dar  meñ
faqat  paas  meñ  us  ke  ma.asūm  dil  hai
magar  kis  qadar  muztarib  muzmahil  hai
hathelī  pe  duniyā  kā  naqsha  banā.e
bhaTaktā  hai  vo  aaj  bhī  choT  khaa.e