Chandrabhan Khayal

shahr aur main

Chandrabhan Khayal

Babai, Madhya Pradesh, India

1946
dil pahāḌoñ par chalā jaa.e ki maidānoñ meñ ho
bhiiḌ meñ logoñ kī yā ḳhālī shabistānoñ meñ ho
shor phir bhī tez tūfānoñ kī sūrat har ghaḌī
toḌtā rahtā hai ḳhalvat-ḳhvāh sīnoñ kā jumūd
reza reza ho ga.e merī tarah kitne vajūd
ab nahīñ mumkin kisī sahrā meñ majnūñ kā varūd
nā-tavāñ shaḳhsiyateñ barqī tavānā.ī liye
raat ke kaale badan ko chaaT kar haiñ mutma.in
jal rahā hai har shajar is shahr kā ab raat din
uḌ rahe haiñ haath se totoñ kī sūrat sāl-o-sin
raushnī kā rañg jaise kuchh samajh aatā nahīñ
shahr kī tahzīb kā ruḳh kis taraf hai kyā pata
aadmī saada hai yā ḳhanjar-ba-kaf hai kyā pata
kis liye ye shor-e-mohmal saf-ba-saf hai kyā pata
maiñ ne har andāz se samjhā hai saare shahr ko
shahr jo ḳhvāboñ ke jañgal ke sivā kuchh bhī nahīñ
umr saarī chhīn kar jis ne diyā kuchh bhī nahīñ
jaise mere vāste baaqī rahā kuchh bhī nahīñ
apne gāloñ par tamāñcha jaḌ ke ḳhush ho jā.ūñ meñ
aaj raushan qumqumoñ ke beach jaagā ye shu.ūr
yuuñ to har mausam ke chehre par numāyāñ haiñ sutūr
ik parinda tak nahīñ lekin havā meñ duur duur
machhliyāñ chhat par sikhāne ke liye jab ḳhvāhisheñ
sīḌhiyoñ par paañv rakhtī haiñ to aa jaatī hai chiil
Thoñk dī jā.egī ab shāyad sabhī zehnoñ meñ kiil
uTh rahī hai har taraf jalte añdheroñ kī fasīl
gerua kapḌoñ meñ lipTā zard mustaqbil mujhe
mashvara detā rahegā aur maiñ mar jā.ūñgā
Top Urdushayar.com