dil  pahāḌoñ  par  chalā  jaa.e  ki  maidānoñ  meñ  ho
bhiiḌ  meñ  logoñ  kī  yā  ḳhālī  shabistānoñ  meñ  ho
shor  phir  bhī  tez  tūfānoñ  kī  sūrat  har  ghaḌī
toḌtā  rahtā  hai  ḳhalvat-ḳhvāh  sīnoñ  kā  jumūd
reza  reza  ho  ga.e  merī  tarah  kitne  vajūd
ab  nahīñ  mumkin  kisī  sahrā  meñ  majnūñ  kā  varūd
nā-tavāñ  shaḳhsiyateñ  barqī  tavānā.ī  liye
raat  ke  kaale  badan  ko  chaaT  kar  haiñ  mutma.in
jal  rahā  hai  har  shajar  is  shahr  kā  ab  raat  din
uḌ  rahe  haiñ  haath  se  totoñ  kī  sūrat  sāl-o-sin
raushnī  kā  rañg  jaise  kuchh  samajh  aatā  nahīñ
shahr  kī  tahzīb  kā  ruḳh  kis  taraf  hai  kyā  pata
aadmī  saada  hai  yā  ḳhanjar-ba-kaf  hai  kyā  pata
kis  liye  ye  shor-e-mohmal  saf-ba-saf  hai  kyā  pata
maiñ  ne  har  andāz  se  samjhā  hai  saare  shahr  ko
shahr  jo  ḳhvāboñ  ke  jañgal  ke  sivā  kuchh  bhī  nahīñ
umr  saarī  chhīn  kar  jis  ne  diyā  kuchh  bhī  nahīñ
jaise  mere  vāste  baaqī  rahā  kuchh  bhī  nahīñ
apne  gāloñ  par  tamāñcha  jaḌ  ke  ḳhush  ho  jā.ūñ  meñ
aaj  raushan  qumqumoñ  ke  beach  jaagā  ye  shu.ūr
yuuñ  to  har  mausam  ke  chehre  par  numāyāñ  haiñ  sutūr
ik  parinda  tak  nahīñ  lekin  havā  meñ  duur  duur
machhliyāñ  chhat  par  sikhāne  ke  liye  jab  ḳhvāhisheñ
sīḌhiyoñ  par  paañv  rakhtī  haiñ  to  aa  jaatī  hai  chiil
Thoñk  dī  jā.egī  ab  shāyad  sabhī  zehnoñ  meñ  kiil
uTh  rahī  hai  har  taraf  jalte  añdheroñ  kī  fasīl
gerua  kapḌoñ  meñ  lipTā  zard  mustaqbil  mujhe
mashvara  detā  rahegā  aur  maiñ  mar  jā.ūñgā