Asrarul Haq Majaz

aaj bhi

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
maiñ huuñ 'majāz' aaj bhī zamzama-e-sanj-o-naġhma-ḳhvāñ
shā.ir-e-mahfil-e-vafā mutrib-e-bazm-e-dil-barāñ
aaj bhī ḳhār-zār-e-ġham ḳhuld-e-barīñ mire liye
aaj bhī rah-guzār-e-ishq mere liye hai kahkashāñ
aaj bhī gā rahā huuñ maiñ sāz-e-junūñ liye hue
soz-e-nihāñ se aaj bhī rūh-e-tapāñ hai dil-tapāñ
aaj bhī zindagī mirī ġharq-e-sharāb-e-tund-o-tez
aaj bhī haath meñ mire jām-e-sharāb-e-arġhavāñ
aaj bhī hai rachī huī aaj bhī hai basī huī
mere nafas meñ ḳhuld kī nuz.hat-o-nik.hat-e-javāñ
aaj bhī nukta-chīñ huuñ maiñ ḳhalvatiyān-e-ḳhās kā
ḳhalvatiyān-e-ḳhās kā aaj bhī huuñ mizāj-dāñ
aaj bhī ashk-e-ḳhūñ mirā qashqa jabīn-e-nāz kā
aaj bhī ḳhāk-e-dil mirī surma-e-chashm-e-gul-ruḳhāñ
aaj bhī dil ko hai mire daulat-e-āgahī nasīb
aaj bhī hai nazar mirī arz-o-samāñ kī rāz-dāñ
aaj bhī hai junūñ mirā dair-o-haram pe ḳhanda-zan
aaj bhī mujh se bad-havās dair-o-haram ke pāsbāñ
aaj bhī saaz se mire garmī-e-bazm-e-sar-kashī
aaj bhī ātish-e-suḳhan shoa.la-fishāñ sharar-fishāñ
aaj bhī hai likhī huī surḳh hurūf meñ 'majāz'
daftar-e-shahr-e-yār meñ mere junūñ kī dāstāñ
Top Urdushayar.com