maiñ  huuñ  'majāz'  aaj  bhī  zamzama-e-sanj-o-naġhma-ḳhvāñ
shā.ir-e-mahfil-e-vafā  mutrib-e-bazm-e-dil-barāñ
aaj  bhī  ḳhār-zār-e-ġham  ḳhuld-e-barīñ  mire  liye
aaj  bhī  rah-guzār-e-ishq  mere  liye  hai  kahkashāñ
aaj  bhī  gā  rahā  huuñ  maiñ  sāz-e-junūñ  liye  hue
soz-e-nihāñ  se  aaj  bhī  rūh-e-tapāñ  hai  dil-tapāñ
aaj  bhī  zindagī  mirī  ġharq-e-sharāb-e-tund-o-tez
aaj  bhī  haath  meñ  mire  jām-e-sharāb-e-arġhavāñ
aaj  bhī  hai  rachī  huī  aaj  bhī  hai  basī  huī
mere  nafas  meñ  ḳhuld  kī  nuz.hat-o-nik.hat-e-javāñ
aaj  bhī  nukta-chīñ  huuñ  maiñ  ḳhalvatiyān-e-ḳhās  kā
ḳhalvatiyān-e-ḳhās  kā  aaj  bhī  huuñ  mizāj-dāñ
aaj  bhī  ashk-e-ḳhūñ  mirā  qashqa  jabīn-e-nāz  kā
aaj  bhī  ḳhāk-e-dil  mirī  surma-e-chashm-e-gul-ruḳhāñ
aaj  bhī  dil  ko  hai  mire  daulat-e-āgahī  nasīb
aaj  bhī  hai  nazar  mirī  arz-o-samāñ  kī  rāz-dāñ
aaj  bhī  hai  junūñ  mirā  dair-o-haram  pe  ḳhanda-zan
aaj  bhī  mujh  se  bad-havās  dair-o-haram  ke  pāsbāñ
aaj  bhī  saaz  se  mire  garmī-e-bazm-e-sar-kashī
aaj  bhī  ātish-e-suḳhan  shoa.la-fishāñ  sharar-fishāñ
aaj  bhī  hai  likhī  huī  surḳh  hurūf  meñ  'majāz'
daftar-e-shahr-e-yār  meñ  mere  junūñ  kī  dāstāñ