batā.ūñ  kyā  tujhe  ai  ham-nashīñ  kis  se  mohabbat  hai
maiñ  jis  duniyā  meñ  rahtā  huuñ  vo  is  duniyā  kī  aurat  hai
vo  mere  āsmāñ  par  aḳhtar-e-sub.h-e-qayāmat  hai
surayyā-baḳht  hai  zohra-jabīñ  hai  māh-e-tal.at  hai
vo  ik  mizrāb  hai  aur  chheḌ  saktī  hai  rag-e-jāñ  ko
vo  chiñgārī  hai  lekin  phūñk  saktī  hai  gulistāñ  ko
zabāñ  par  haiñ  abhī  ismat  o  taqdīs  ke  naġhme
vo  baḌh  jaatī  hai  is  duniyā  se  aksar  is  qadar  aage
jabīñ  par  sāya-gustar  partav-e-qindīl-e-rahbānī
azār-e-narm-o-nāzuk  par  shafaq  kī  rañg-afshānī
adā.eñ  le  ke  aa.ī  hai  vo  fitrat  ke  ḳhazānoñ  se
jagā  saktī  hai  mahfil  ko  nazar  ke  tāzyānoñ  se
vo  merī  jur.atoñ  par  be-niyāzī  kī  sazā  denā
havas  kī  zulmatoñ  par  naaz  kī  bijlī  girā  denā
vafā  ḳhud  kī  hai  aur  merī  vafā  ko  āzmāyā  hai
mujhe  chāhā  hai  mujh  ko  apnī  āñkhoñ  par  biThāyā  hai
mire  chehre  pe  jab  bhī  fikr  ke  āsār  paa.e  haiñ
mujhe  taskīn  dī  hai  mere  andeshe  miTā.e  haiñ
lab-e-lālīñ  pe  lākhā  hai  na  ruḳhsāroñ  pe  ġhāza  hai
jabīñ-e-nūr-afshāñ  par  na  jhūmar  hai  na  Tiikā  hai
koī  mere  sivā  us  kā  nishāñ  pā  hī  nahīñ  saktā
koī  us  bārgāh-e-nāz  tak  jā  hī  nahīñ  saktā