mehnat  se  ye  maanā  chuur  haiñ  ham
ārām  se  kosoñ  duur  haiñ  ham
go  aafat  o  ġham  ke  maare  haiñ
ham  ḳhaak  nahīñ  haiñ  taare  haiñ
banñe  kī  tamannā  rakhte  haiñ
miTne  kā  kaleja  rakhte  haiñ
har  chand  ki  haiñ  adbār  meñ  ham
kahte  haiñ  khule  bāzār  meñ  ham
jis  samt  baḌhā  dete  haiñ  qadam
jhuk  jaate  haiñ  shāhoñ  ke  parcham
go  jaan  pe  lākhoñ  baar  banī
kar  guzre  magar  jo  jī  meñ  Thanī
ham  kyā  haiñ  kabhī  dikhlā  deñge
ham  nazm-e-kuhan  ko  Dhā  deñge
ham  jism  meñ  tāqat  rakhte  haiñ
sīnoñ  meñ  harārat  rakhte  haiñ
jis  roz  baġhāvat  kar  deñge
duniyā  meñ  qayāmat  kar  deñge
ham  qabza  kareñge  daftar  par
ham  vaar  kareñge  qaisar  par