dillī  se  vāpsī
ruḳhsat  ai  dillī  tirī  mahfil  se  ab  jaatā  huuñ  maiñ
yaad  ā.eñge  mujhe  tere  zamīn-o-āsmāñ
rah  chuke  haiñ  merī  jaulāñ-gāh  tere  bostāñ
terā  dil  dhaḌkā  chuke  haiñ  mere  ehsāsāt  bhī
tere  aivānoñ  meñ  gūñje  haiñ  mire  naġhmāt  bhī
rashk-e-shīrāz-kuhan  hindostāñ  kī  aabrū
sar-zamīn-e-husn-o-mausīqī  bahisht-e-rañg-o-bū
ma.abad-e-husn-o-mohabbat  bārgāh-e-soz-o-sāz
tere  but-ḳhāne  hasīñ  tere  kalīsā  dil-navāz
zikr  yūsuf  kā  to  kyā  kiije  tirī  sarkār  meñ
ḳhud  zuleḳhā  aa  ke  biktī  hai  tire  bāzār  meñ
jannateñ  ābād  haiñ  tere  dar-o-dīvār  meñ
aur  tū  ābād  ḳhud  shā.ir  ke  qalb-e-ār  meñ
mahfil-e-sāqī  salāmat  bazm-e-anjum  barqarār
nāznīnān-e-haram  par  rahmat-e-parvardigār
yaad  aa.egī  mujhe  be-tarah  yaad  aa.egī  tū
ain  vaqt-e-mai-kashī  āñkhoñ  meñ  phir  jā.egī  tū
kyā  kahūñ  kis  shauq  se  aayā  thā  terī  bazm  meñ
chhoḌ  kar  ḳhuld-e-alī-gaḌh  kī  hazāroñ  mahfileñ
kitne  rañgīñ  ahd-o-paimāñ  toḌ  kar  aayā  thā  maiñ
dil  navāzān-e-chaman  kā  chhoḌ  kar  aayā  thā  maiñ
ik  nasheman  maiñ  ne  chhoḌā  ik  nasheman  chhuT  gayā
saaz  bas  chheḌā  hī  thā  maiñ  ne  ki  gulshan  chhuT  gayā
dil  meñ  soz-e-ġham  kī  ik  duniyā  liye  jaatā  huuñ  maiñ
aah  tere  mai-kade  se  be-piye  jaatā  huuñ  maiñ
jaate  jaate  lekin  ik  paimāñ  kiye  jaatā  huuñ  maiñ
apne  azm-e-sarfaroshī  kī  qasam  khātā  huuñ  maiñ
phir  tirī  bazm-e-hasīñ  meñ  lauT  kar  ā.ūñgā  maiñ
ā.ūñgā  maiñ  aur  ba-andāz-e-digar  ā.ūñgā  maiñ
aah  vo  chakkar  diye  haiñ  gardish-e-ayyām  ne
khol  kar  rakh  dī  haiñ  āñkheñ  talḳhī-e-ālām  ne
fitrat-e-dil  dushman-e-naġhma  huī  jaatī  hai  ab
zindagī  ik  barq  ik  sho.ala  huī  jaatī  hai  ab
sar  se  pā  tak  ek  ḳhūnīñ  raag  ban  kar  ā.ūñgā
lāla-zār-e-rañg-o-bū  meñ  aag  ban  kar  ā.ūñgā