Asrarul Haq Majaz

pahla jashn-e-azadi

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955

ba-sad ġhurūr ba-sad faḳhr-o-nāz-e-āzādī

machal ke khul ga.ī zulf-e-darāz-e-āzādī

mah-o-nujūm haiñ naġhma-tarāz-e-āzādī

vatan ne chheḌā hai is tarah sāz-e-āzādī

zamāna raqs meñ hai zindagī ġhazal-ḳhvāñ hai

zamāna raqs meñ hai zindagī ġhazal-ḳhvāñ hai

har ik jabīñ pe hai ik mauj-e-nūr-e-āzādī

har ik aañkh meñ kaif-o-surūr-e-āzādī

ġhulāmī ḳhāk-basar hai huzūr-e-āzādī

har ek qasr hai ik bām-e-tūr-e-āzādī

har ek baam pe ik parcham-e-zar-afshāñ hai

har ek samt nigārān-e-yāsmīñ-paikar

nikal paḌe haiñ dar-o-bām se mah-o-aḳhtar

vo sail-e-nūr hai ḳhīra hai aadmī nazar

ba-sad ġhurūr-o-adā ḳhanda-zan hai gardūñ par

zamīn-e-hind ki jolā-nigah ġhazālāñ hai

sadā do anjum-e-aflāk raqs farmā.eñ

butān-e-kāfir-o-saffāk raqs farmā.eñ

sharīk halqa-e-idrāk raqs farmā.eñ

tarab vaqt hai bebāk raqs farmā.eñ

ki ye bahār-e-payāmī-e-sad-bahārāñ hai

ye inqalāb muzhda hai inqalāb nahīñ

ye āftāb partav hai āftāb nahīñ

vo jis tāb-o-tavānā.ī javāb nahīñ

abhī vo sa.i-e-junūñ-ḳhez kāmyāb nahīñ

ye intihā nahīñ āġhāz-e-kār-e-mardāñ hai

Top Urdushayar.com