bastī  se  thoḌī  duur  chaTTānoñ  ke  darmiyāñ
Thahrā  huā  hai  ḳhāna-ba-doshoñ  kā  kārvāñ
is  kārvāñ  meñ  tifl  bhī  haiñ  naujavāñ  bhī  haiñ
būḌhe  bhī  haiñ  marīz  bhī  haiñ  nā-tavāñ  bhī  haiñ
māthe  pe  saḳht-koshi-e-paiham  kī  dāstāñ
āñkhoñ  meñ  huzn  o  yaas  kī  ghanghor  badliyāñ
uTThe  haiñ  jis  kī  god  se  aazar  vo  qaum  hai
toḌe  haiñ  jis  ne  charḳh  se  aḳhtar  vo  qaum  hai
āḳhir  zamāna  un  ko  satā.egā  kab  talak
kab  se  jalā  rahā  hai  jalā.egā  kab  talak