kār-farmā  phir  mirā  zauq-e-ġhazal-ḳhvānī  hai  aaj
phir  nafas  kā  sāz-e-garm-e-sho.ala-afshānī  hai  aaj
phir  nigāh-e-shauq  kī  garmī  hai  aur  rū-e-nigār
phir  araq-ālūd  ik  kāfir  kī  peshānī  hai  aaj
phir  mire  lab  par  qasīde  haiñ  lab-o-ruḳhsār  ke
phir  kisī  chehre  pe  tābānī  sī  tābānī  hai  aaj
husn  is  darja  nashāt-e-husn  meñ  Duubā  huā
añkhḌiyāñ  be-ḳhud  shamīm-e-zulf  dīvānī  hai  aaj
larzish-e-lab  meñ  sharāb-o-sher  kā  tūfān  hai
jumbish-e-mizhgāñ  meñ  afsūn-e-ġhazal-ḳhvānī  hai  aaj
vo  nafas  kī  zamzama-sanjī  nazar  kī  guftugū
sīna-e-ma.asūm  meñ  ik-tarfa  tuġhyānī  hai  aaj
yaañ  ba-īñ  aalim  ġhurūr-e-yūsufiyat  bhī  nahīñ
vaañ  zuleḳhā.ī  ba-azm-e-chāk-dāmānī  hai  aaj
vaañ  ishāre  haiñ  bahak  jaanā  hī  aish-e-hosh  hai
hosh  meñ  rahnā  yaqīnan  saḳht  nādānī  hai  aaj
kashmakash  sī  kashmakash  meñ  hai  mazāq-e-āshiqī
kāmrāñ  sī  kāmrāñ  har  sa.ī-e-imkānī  hai  aaj
husn  ke  chehre  pe  hai  nūr-e-sadāqat  kī  damak
ishq  ke  sar  par  kulāh-e-faḳhr-e-insānī  hai  aaj
shauq  se  mauqa-shanāsī  kī  tavaqqo  bhī  ġhalat
maiñ  ne  un  kī  shakl  bhī  mushkil  se  pahchānī  hai  aaj