ik  nayā  paġhambar-e-amn-o-amāñ  paidā  huā
kārvāñ  meñ  ik  amīr-e-kārvāñ  paidā  huā
ek  ḳhizr-e-ahd-e-hāzir  ik  kalīm-e-ahd-e-nau
ek  sadr-e-mahfil-e-rūhāniyāñ  paidā  huā
ik  hudī-ḳhvān-e-mohabbat  ik  naqīb-e-ittihād
ik  fidā-e-soz-e-nāqūs-o-azāñ  paidā  huā
haq  kā  saudā.ī  haqīqat  kā  ilm  khole  hue
sidq  kā  shaidā  safā  kā  pāsbāñ  paidā  huā
sar-ba-sar  ik  muzhda-e-taskīn-e-mardān-e-za.īf
quvvat-e-bāzū-e-yārān-e-javāñ  paidā  huā
is  chaman  kī  sarzamīñ  hai  rū-kash-e-haft-āsmāñ
is  chaman  meñ  tā.ir-e-arsh-āshiyāñ  paidā  huā
ik  gul-e-tāza  jo  murjhā  kar  bhī  murjhāyā  nahīñ
safha-e-hastī  pe  naqsh-e-jāvedāñ  paidā  huā
ḳhuuñ  se  is  ke  aaj  bhī  gul-rañg  hai  ḳhāk-e-vatan
faḳhr-e-ālam  nāzish-e-hindostāñ  paidā  huā