ruḳhsat  ai  ham-safaro  shahr-e-nigār  aa  hī  gayā
ḳhuld  bhī  jis  pe  ho  qurbāñ  vo  dayār  aa  hī  gayā
ye  junūn-zār  mirā  mere  ġhazāloñ  kā  jahāñ
merā  najd  aa  hī  gayā  merā  tatār  aa  hī  gayā
aaj  phir  tā-ba-chaman  dar-e-pai-e-gul-hā-e-chaman
gungunātā  huā  zambūr-e-bahār  aa  hī  gayā
gesuoñ  vāloñ  meñ  abrū  ke  kamān-dāroñ  meñ
ek  said  aa  hī  gayā  ek  shikār  aa  hī  gayā
bāġhbānoñ  ko  batāo  gul-o-nasrīñ  se  kaho
ik  ḳharāb-e-gul-o-nasrīn-e-bahār  aa  hī  gayā
ḳhair-maqdam  ko  mire  koī  ba-hañgām-e-sahar
apnī  āñkhoñ  meñ  liye  shab  kā  ḳhumār  aa  hī  gayā
zulf  kā  abr-e-siyah  bāzū-e-sīmīñ  pe  liye
phir  koī  naġhma-zan-e-sāz-e-bahār  aa  hī  gayā
ho  ga.ī  tishna-labī  aaj  rahīn-e-kausar
mere  lab  par  lab-e-lālīn-e-nigār  aa  hī  gayā