maiñ  ki  mai-ḳhāna-e-ulfat  kā  purānā  mai-ḳhvār
mahfil-e-husn  kā  ik  mutrib-e-shīrīñ-guftār
kitne  dil-kash  mire  but-ḳhān-e-īmāñ  ke  sanam
vo  kalīsāoñ  ke  aahū  vo  gazālān-e-haram
maujzan  hai  mai-e-ishrat  mire  paimānoñ  meñ
yaas  kā  dard  hai  kam-tar  mire  afsānoñ  meñ
mere  afkār  meñ  mahtāb  kī  tal.at  ġhaltāñ
merī  guftār  meñ  hai  sub.h  kī  nuzhat  ġhaltāñ
laakh  majbūr  huuñ  maiñ  zauq-e-ḳhud-ārā.ī  se
dil  hai  bezār  ab  is  ishrat-e-tanhā.ī  se
kyuuñ  na  chāhūñ  ki  har  ik  haath  meñ  paimāna  ho
yaas  o  mahrūmī  o  majbūrī  ik  afsāna  ho
ab  ye  armāñ  ki  badal  jaa.e  jahāñ  kā  dastūr
ek  ik  aañkh  meñ  ho  aish  o  farāġhat  kā  surūr