aaj  kī  raat  aur  baaqī  hai
kal  to  jaanā  hī  hai  safar  pe  mujhe
zindagī  muntazir  hai  muñh  phāḌe
do  ghaḌī  ḳhud  ko  shādmāñ  kar  leñ
aaj  kī  raat  aur  baaqī  hai
chalne  hī  ko  hai  ik  sumūm  abhī
raqs-farmā  hai  rūh-e-barbādī
zauq-e-pinhāñ  ko  kāmrāñ  kar  leñ
aaj  kī  raat  aur  baaqī  hai
ek  paimāna-e-mai-e-sarjosh
lutf-e-guftār  garmi-e-āġhosh
ruuh  yaḳh-basta  hai  tapāñ  kar  leñ
aaj  kī  raat  aur  baaqī  hai
ek  do  aur  sāġhar-e-sarshār
phir  to  honā  hī  hai  mujhe  hoshiyār
kuchh  tabī.at  to  ham  ravāñ  kar  leñ
aaj  kī  raat  aur  baaqī  hai
phir  kahāñ  ye  hasīñ  suhānī  raat
ye  farāġhat  ye  kaif  ke  lamhāt
aaj  kī  raat  jāvedāñ  kar  leñ
aaj  kī  raat  aur  aaj  kī  raat