shahr  kī  raat  aur  maiñ  nāshād  o  nākārā  phirūñ
jagmagātī  jāgtī  saḌkoñ  pe  āvārā  phirūñ
jhilmilāte  qumqumoñ  kī  raah  meñ  zanjīr  sī
raat  ke  hāthoñ  meñ  din  kī  mohnī  tasvīr  sī
ye  rupahlī  chhāñv  ye  ākāsh  par  tāroñ  kā  jaal
jaise  suufī  kā  tasavvur  jaise  āshiq  kā  ḳhayāl
phir  vo  TuuTā  ik  sitāra  phir  vo  chhūTī  phul-jaḌī
jaane  kis  kī  god  meñ  aa.ī  ye  motī  kī  laḌī
raat  hañs  hañs  kar  ye  kahtī  hai  ki  mai-ḳhāne  meñ  chal
phir  kisī  shahnāz-e-lāla-ruḳh  ke  kāshāne  meñ  chal
har  taraf  bikhrī  huī  rañgīniyāñ  ra.anā.iyāñ
har  qadam  par  ishrateñ  letī  huī  añgḌā.iyāñ
rāste  meñ  ruk  ke  dam  le  luuñ  mirī  aadat  nahīñ
lauT  kar  vāpas  chalā  jā.ūñ  mirī  fitrat  nahīñ
muntazir  hai  ek  tūfān-e-balā  mere  liye
ab  bhī  jaane  kitne  darvāze  haiñ  vā  mere  liye
jī  meñ  aatā  hai  ki  ab  ahd-e-vafā  bhī  toḌ  duuñ
un  ko  pā  saktā  huuñ  maiñ  ye  aasrā  bhī  toḌ  duuñ
ik  mahal  kī  aaḌ  se  niklā  vo  piilā  māhtāb
jaise  mullā  kā  amāma  jaise  baniye  kī  kitāb
dil  meñ  ik  sho.ala  bhaḌak  uTThā  hai  āḳhir  kyā  karūñ
merā  paimāna  chhalak  uTThā  hai  āḳhir  kyā  karūñ
jī  meñ  aatā  hai  ye  murda  chāñd  taare  noch  luuñ
is  kināre  noch  luuñ  aur  us  kināre  noch  luuñ
muflisī  aur  ye  mazāhir  haiñ  nazar  ke  sāmne
saikḌoñ  sultān-e-jābir  haiñ  nazar  ke  sāmne
le  ke  ik  chañgez  ke  hāthoñ  se  ḳhanjar  toḌ  duuñ
taaj  par  us  ke  damaktā  hai  jo  patthar  toḌ  duuñ
baḌh  ke  us  indar  sabhā  kā  saaz  o  sāmāñ  phūñk  duuñ
us  kā  gulshan  phūñk  duuñ  us  kā  shabistāñ  phūñk  duuñ