mujhe  shikva  nahīñ  duniyā  kī  un  zohra-jabīnoñ  se
huī  jin  se  na  mere  shauq-e-rusvā  kī  pazīrā.ī
mujhe  shikva  nahīñ  un  paak  bātin  nukta-chīnoñ  se
lab-e-mojiz-numā  ne  jin  ke  mujh  par  aag  barsā.ī
mujhe  shikva  nahīñ  tahzīb  ke  un  pāsbānoñ  se
na  lene  dī  jinhoñ  ne  fitrat-e-shā.ir  ko  añgḌā.ī
mujhe  shikva  nahīñ  dair-o-haram  ke  āstānoñ  se
vo  jin  ke  dar  pe  kī  hai  muddatoñ  maiñ  ne  jabīñ-sā.ī
mujhe  shikva  nahīñ  uftādagān-e-aish-o-ishrat  se
vo  jin  ko  mere  hāl-e-zār  par  aksar  hañsī  aa.ī
mujhe  shikva  nahīñ  un  sāhibān-e-jāh-o-sarvat  se
nahīñ  aatī  mire  hissa  meñ  jin  kī  ek  bhī  paa.ī
zamāne  ke  nizām-e-zañg-ālūda  se  shikva  hai
qavānīn-e-kuhan  ā.īn-e-farsūda  se  shikva  hai