ab  mire  paas  tum  aa.ī  ho  to  kyā  aa.ī  ho
maiñ  ne  maanā  ki  tum  ik  paikar-e-rānā.ī  ho
chaman-e-dahr  meñ  rūh-e-chaman-ārā.ī  ho
mujh  se  milne  meñ  ab  andesha-e-rusvā.ī  hai
maiñ  ne  ḳhud  apne  kiye  kī  ye  sazā  paa.ī  hai
ḳhaak  meñ  aah  milā.ī  hai  javānī  maiñ  ne
shola-zāroñ  meñ  jalā.ī  hai  javānī  maiñ  ne
husn  ne  jab  bhī  ināyat  kī  nazar  Daalī  hai
mere  paimān-e-mohabbat  ne  sipar  Daalī  hai
un  dinoñ  mujh  pe  qayāmat  kā  junūñ  taarī  thā
sar  pe  sarshāri-e-ishrat  kā  junūñ  taarī  thā
bistar-e-maḳhmal-o-sanjāb  thī  duniyā  merī
ek  rañgīn  o  hasīñ  ḳhvāb  thī  duniyā  merī
jannat-e-shauq  thī  begāna-e-āfāt-e-sumūm
dard  jab  dard  na  ho  kāvish-e-darmāñ  mālūm
laila-e-nāz  barafganda-naqāb  aatī  thī
apnī  āñkhoñ  meñ  liye  dāvat-e-ḳhvāb  aatī  thī
sañg  ko  gauhar-e-nāyāb-o-girāñ  jaanā  thā
dasht-e-pur-ḳhār  ko  firdaus-e-javāñ  jaanā  thā
merī  har  fatah  meñ  hai  ek  hazīmat  pinhāñ
har  masarrat  meñ  hai  rāz-e-ġham-o-hasrat  pinhāñ
kyā  sunogī  mirī  majrūh  javānī  kī  pukār
merī  fariyād-e-jigar-doz  mirā  nāla-e-zār
vo  gudāz-e-dil-e-marhūm  kahāñ  se  lā.ūñ
ab  maiñ  vo  jazba-e-māsūm  kahāñ  se  lā.ūñ
mere  saa.e  se  Daro  tum  mirī  qurbat  se  Daro
apnī  jur.at  kī  qasam  ab  merī  jur.at  se  Daro
ab  mire  paas  tum  aa.ī  ho  to  kyā  aa.ī  ho