firdaus-e-husn-o-ishq  hai  dāmān-e-lucknow
āñkhoñ  meñ  bas  rahe  haiñ  ġhazālān-e-lucknow
sabr-āzmā  hai  ġhamza-e-turkān-e-lucknow
rashk-e-zanān-e-misr  kanīzān-e-lucknow
har  samt  ik  hujūm-e-nigārān-e-lucknow
aur  maiñ  ki  ek  shoḳh-ġhazal-ḳhvān-e-lucknow
mutrib  bhī  hai  sharāb  bhī  abr-e-bahār  bhī
shīrāz  ban  gayā  hai  shabistān-e-lucknow
tole  hue  hai  teġh-o-sināñ  husn-e-be-naqāb
nāvak-fagan  hai  jalva-e-pinhān-e-lucknow
ik  nau-bahār-e-nāz  ko  taake  hai  phir  nigāh
vo  nau-bahār-e-nāz  ki  hai  jān-e-lucknow
dast-e-junūñ  ko  rokiye  ye  ḳhabt  chhoḌiye
rusvā  hai  yūñhī  chāk-e-garebān-e-lucknow
kuchh  roz  kā  musāfir-o-mehmāñ  huuñ  aur  kyā
kyuuñ  bad-gumāñ  hoñ  yūsuf-e-kan.ān-e-lucknow
ab  us  ke  ba.ad  sub.h  hai  aur  sub.h-e-nau  'majāz'
ham  par  hai  ḳhatm  shām-e-ġharībān-e-lucknow