Asrarul Haq Majaz

nazr-e-Khaalida

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
dil masarrat kī farāvānī se dīvāna hai aaj
dekhnā ye kaun āḳhir zeb-e-Kāshana hai aaj
Kaif-e-sehba-e-Tarab meñ ġharq-e-maiḳhāna hai aaj
har shajar sāqī-e-mai har phuul paimāna hai aaj
ġhuncha-o-gul the yahī lekin ye ra.anā.ī na thī
is gulistāñ meñ bahār is dhuum se aa.ī na thī
nargis-e-maḳhmūr hai lazzat-e-kash-e-khāb-e-nishāt
phuuT niklā hai gul-e-nasrīñ se sailāb-e-nashāt
ahl-e-mahfil ke liye mushkil hai ab tāb-e-nashāt
aaj paimānoñ se chhalkegī mai-e-nāb-e-nashāt
par-fishāñ hai jazba-e-pinhāñ ubharne ke liye
muztarib hai zarra zarra raqs karne ke liye
phir idhar aa.e na aa.e ye shamīm-e-jāñ-fazā
phir mayassar ho na ho aisā samāñ aisī havā
chheḌ is andāz se ai mutrib-e-rañgīñ-navā
TuuT jaa.e aaj ik ik taar tere saaz kā
zikr jis kā zohra-o-parvīñ ke kāshāne meñ hai
vo sanam bhī aaj apne hī sanam-ḳhāne meñ hai
ḳhālida tū hai bahisht-e-turkmānī kī bahār
terī peshānī pe nūr-e-hurriyat-e-ā.īna-kār
tere ruḳh se partav-e-ma.asōm-e-mariyam āshkār
tere javoñ kī sabāhat se farishte sharmsār
gul pashemāñ qalb-e-bulbul rashk se do-nīm hai
terī bātoñ meñ ḳhumār-e-kausar-o-tasnīm haiñ
yuuñ to ham har sham-e-ilm-o-fan ke parvāne rahe
ye haqīqat hai ki ham tere bhī dīvāne rahe
muddatoñ apnī zabāñ par tere afsāne rahe
tū rahī begāna lekin ham na begāne rahe
yaad terī ik zamāne se hamārī dil meñ thī
tū yahāñ aane se pahle bhī isī mahfil meñ thī
shauq kī shorish jamāl-o-nūr kā sailāb hai
har kalī sāz-e-tarab hai har nazar mizrāb hai
aañkh hairāñ rūh-e-arbāb-e-vafā betāb hai
ye hamāre ḳhvāb kī ta.abīr hai ye ḳhvāb hai
lāla-o-gul kyā chaman bhī tere qadmoñ par nisār
ye guhar-hā-e-suḳhan bhī tere qadmoñ par nisār
ai muqaddas huur ai parvarda-e-mauj-e-nasīm
rūh-e-ishrate-gāh-e-sāhil jān-e-tūfān-e-azīm
tū ne turkoñ ko dikhā.ī hai sirāt-e-mustaqīm
phūñk Daale haiñ ta.assub ke hijābāt-e-qadīm
zo.af dikhlā.ī hai jab bhī fitrat-e-ahrār ne
aag barsā dī hai tere nutq-e-gauhar-bār ne
rah chukī hai haath meñ tere vo teġh-e-be-niyām
jis kī jumbish ne badal Daalā hukūmat kā nizām
tark-e-uftāda ko tū ne hī diyā izn-e-ḳhirām
tere hī hāthoñ ne chhalkā.e haiñ āzādī ke jaam
tū ne jo ehsāñ kiyā haiñ millat-e-ahrār par
naqsh haiñ ab tak sañvarnā ke dar-o-dīvār par
haañ batā de ham ko bhī ai rūh-e-arbāb-e-niyāz
kis tarah miTtā hai āḳhir rang-o-ḳhūñ kā imtiyāz
dil pe kyuuñ kar faash ho jaate haiñ āzādī ke raaz
chheḌte haiñ kis tarah mahfil meñ.... bedārī kā saaz
terī āñkhoñ meñ surūr-e-ishrat-e-jamhūr hai
aah ye jauhar hamārī dastaras se duur hai
mahram-e-dard-o-masarrat rāz-dār-e-sub.h-o-shām
mahfil-e-fitrat kī ḳhamoshī hai tujh se ham-kalām
terī hastī āsmān-e-tark kā māh-e-tamām
tū mohabbat har nafas terā mohabbat kā payām
gulshan-e-mashriq meñ manind-e-saba aa.ī hai tū
sub.h-e-raushan kā payām-e-jān-fazā laa.ī hai tū
qurbat-e-gul kis qadar jāñ-baḳhsh hai ḳhāroñ se pūchh
chāñd kī tanvīr meñ kyā lutf hai tāroñ se pūchh
nashsha-e-sahbā meñ kyā lazzat hai mai-ḳhāroñ se pūchh
chārasāzī meñ maza kyā kyā hai bīmāroñ se pūchh
rūh-o-dil ko jagmagā de jalva ārā.ī tirī
kam se kam itnā to kar jaa.e masīhā.ī tirī
koī dam meñ is gulistāñ se nikalnā hai hameñ
farsh-e-gul se duur añgāroñ pe chalnā hai hameñ
ḳhār-zār-e-ġham ko pairoñ se kuchalnā hai hameñ
jāda-e-manzil meñ girnā hai sambhalnā hai hameñ
dars aisā de ke dil āzurda-e-manzil na ho
fikr-e-lā-hāsil na ho andesha-e-bātil na ho
Top Urdushayar.com