Asrarul Haq Majaz

mujhe jaana hai ek din

Asrarul Haq Majaz

Rudauli, Uttar pradesh, India

1911-1955
mujhe jaanā hai ik din terī bazm-e-nāz se āḳhir
abhī phir dard Tapkegā mirī āvāz se āḳhir
abhī to husn ke pairoñ pe hai jabr-e-hinā-bandī
abhī hai ishq par ā.īn-e-farsūda kī pābandī
abhī tahzīb-e-adl-o-haq kī kashtī khe nahīñ saktī
abhī ye zindagī dād-e-sadāqat de nahīñ saktī
abhī to kā.enāt auhām kā ik kār-ḳhāna hai
abhī dhokā haqīqat hai haqīqat ik fasāna hai
abhī haiñ shahr kī tārīk galiyāñ muntazir merī
abhī hai ik hasīñ tahrīk-e-tūfāñ muntazir merī
abhī to fāqa-kash insān se āñhkeñ milānā hai
abhī jhulse hue chehroñ pe ashk-e-ḳhūñ bahānā hai
abhī har dushman-e-nazm-e-kuhan ke giit gaanā hai
abhī har lashkar-e-zulmat-shikan ke giit gaanā hai
koī dam meñ hayāt-e-nau kā phir parcham uThātā huuñ
ba-īma-e-hamiyyat jaan kī baazī lagātā huuñ
Top Urdushayar.com