javānī  kī  añdherī  raat  hai  zulmat  kā  tūfāñ  hai
mirī  rāhoñ  se  nūr-e-māh-o-anjum  tak  gurezāñ  hai
ġham  o  hirmāñ  kī  yūrish  hai  masā.ib  kī  ghaTā.eñ  haiñ
junūñ  kī  fitna-ḳhezī  husn  kī  ḳhūnīñ  adā.eñ  haiñ
fazā  meñ  maut  ke  tārīk  saa.e  thartharāte  haiñ
havā  ke  sard  jhoñke  qalb  par  ḳhanjar  chalāte  haiñ
zamīñ  chīñ-bar-jabīñ  hai  āsmāñ  taḳhrīb  par  maa.il
rafīqān-e-safar  meñ  koī  bismil  hai  koī  ghā.el
ufuq  par  zindagī  ke  lashkar-e-zulmat  kā  Derā  hai
havādis  ke  qayāmat-ḳhez  tūfānoñ  ne  gherā  hai
charāġh-e-dair  fānūs-e-haram  qindīl-e-rahbānī
ye  sab  haiñ  muddatoñ  se  be-niyāz-e-nūr-e-irfānī
talātum-ḳhez  dariyā  aag  ke  maidān  haa.el  haiñ
garajtī  āñdhiyāñ  biphre  hue  tūfān  haa.el  haiñ
fazā  meñ  sho.ala-afshāñ  dev-e-istibdād  kā  ḳhanjar
siyāsat  kī  sanāneñ  ahl-e-zar  ke  ḳhūñ-chakāñ  tevar
badī  par  bārish-e-lutf-o-karam  nekī  pe  ta.azīreñ
javānī  ke  hasīñ  ḳhvāboñ  kī  haibatnāk  ta.abīreñ
hukūmat  ke  mazāhir  jañg  ke  pur-haul  naqshe  haiñ
kudāloñ  ke  muqābil  top  bandūqeñ  haiñ  neze  haiñ
ufuq  par  jañg  kā  ḳhūnīñ  sitāra  jagmagātā  hai
har  ik  jhoñkā  havā  kā  maut  kā  paiġhām  laatā  hai
fanā  ke  āhanī  vahshat-asar  qadmoñ  kī  aahaT  hai
dhuveñ  kī  badliyāñ  haiñ  goliyoñ  kī  sansanāhaT  hai