mirī  mastī  meñ  bhī  ab  hosh  hī  kā  taur  hai  saaqī
tire  sāġhar  meñ  ye  sahbā  nahīñ  kuchh  aur  hai  saaqī
bhaḌaktī  jā  rahī  hai  dam-ba-dam  ik  aag  sī  dil  meñ
ye  kaise  jaam  haiñ  saaqī  ye  kaisā  daur  hai  saaqī
vo  shai  de  jis  se  niiñd  aa  jaa.e  aql-e-fitna-parvar  ko
ki  dil  āzurda-e-tam.īz-e-lutf-o-jaur  hai  saaqī
kahīñ  ik  riñd  aur  vāmāñda-e-afkār  tanhā.ī
kahīñ  mahfil  kī  mahfil  taur  se  be-taur  hai  saaqī
javānī  aur  yuuñ  ghir  jaa.e  tūfān-e-havādis  meñ
ḳhudā  rakkhe  abhī  to  be-ḳhudī  kā  daur  hai  saaqī
chhalaktī  hai  jo  tere  jaam  se  us  mai  kā  kyā  kahnā
tire  shādāb  hoñToñ  kī  magar  kuchh  aur  hai  saaqī
mujhe  piine  de  piine  de  ki  tere  jām-e-lālīñ  meñ
abhī  kuchh  aur  hai  kuchh  aur  hai  kuchh  aur  hai  saaqī