Syeda Farhat

ustad ka DanDa

Syeda Farhat

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1938-2003

chhīn le haath se ustād ke DañDā koī

badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī

anDā khāne se lahū jism meñ baḌh jaatā hai

chust hotā hai badan zehn nikhar jaatā hai

DañDā lekin hameñ kyā fā.eda pahuñchātā hai

jism ko detā hai dukh zehn ko uljhātā hai

chhīn le haath se ustād ke DañDā koī

badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī

kis qadar dete haiñ dukh ham ko ye haa.e DanDe

saarī duniyā se ḳhudā ab to miTā de DanDe

hai vo ustād burā jo ki jamā.e DanDe

hai vo shāgird bhī buddhū ki jo khaa.e DanDe

chhīn le haath se ustād ke DañDā koī

badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī

ab na schōl meñ DanDe ḳhudā.ī hogī

saare DanDoñ zamāne se safā.ī hogī

zor se DanDe ke hargiz na paḌhā.ī hogī

ab to schōl meñ anDoñ khilā.ī hogī

chhīn le haath se ustād ke DañDā koī

badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī

lad gayā ab to vo anDoñ zamāna sāhab

ho chukā ab to tarīqa ye purānā sāhab

jo mohabbat na gur aap ne jaanā sāhab

phir to dushvār huā paḌhnā paḌhānā sāhab

chhīn le haath se ustād ke DañDā koī

badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī

sar pe DanDe paḌeñ hargiz na ye uftād aa.e

tālib-e-ilm na kartā huā fariyād aa.e

kaash bhūlā huā shafqat sabaq yaad aa.e

baap ke ruup meñ schōl meñ ustād aa.e

chhīn le haath se ustād ke DañDā koī

badle DanDe ke khilā de hameñ anDā koī

Top Urdushayar.com