qaum  sarsayyad  kā  ye  ehsāñ  bhulā  saktī  nahīñ
yaad  un  kī  gardish-e-daurāñ  miTā  saktī  nahīñ
qaum  kī  islāh-o-ḳhidmat  meñ  hazāroñ  dukh  sahe
āñdhiy.oñ  kī  zad  pe  tum  karte  rahe  raushan  diye
aap  ne  daur-e-jahālat  se  nikālā  qaum  ko
ilm  aur  tahzīb  ke  sāñche  meñ  Dhālā  qaum  ko
ḳhūn-e-dil  se  aap  ne  sīñchā  hamārā  ye  chaman
jis  meñ  khulte  aaj  bhī  haiñ  ġhuncha-hā-e-ilm-o-fan
dars-gāh-e-ilm-o-dānish  hai  ye  un  kī  yādgār
jo  hamāre  vāste  hai  bā.is-e-sad-iftiḳhār
aap  kā  raushan  rahegā  tā-abad  duniyā  meñ  naam
qaum  ke  sab  naunihāloñ  ko  hai  sayyad  kā  payām
tum  ko  mere  ḳhvāb  kī  ta.abīr  honā  chāhiye
ahl-e-ilm-o-sāhab-e-tadbīr  honā  chāhiye