kitnī  āsānī  se  us  ne  rakh  diyā
roTī  kā  pahiyā
vo  to  aise  mashġhaloñ  meñ  mast  hai
jis  samt  chāhe  jaa.e  ghūme  yā  na.ī  samteñ  banā.e
khel  kī  ik  umr  hotī  hai
jahāñ  saare  khilaune  TuuT  jaate  haiñ  chhanak  se  ek  din
lāDle  kanchoñ  sī  umreñ
tāliyoñ  kī  phūl-jhaḌiyoñ  meñ  bikhar  kar  TūTtī  haiñ
aao  apne  ḳhvāb  ke  resham  se  bāhar
charḳh-e-nīlī-fām  ke  TukḌe  chuneñ