Anjum Azmi

sharabi

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941

ye mai-kada hai tirā aur maiñ sharābī huuñ

sambhāl sāqiyā miinā ko apne hāthoñ meñ

mujhe bhī aaj ma-e-arġhavāñ hājat hai

sarak rahe haiñ ruḳh-e-kā.enāt se parde

dil-o-dimāġh meñ ik raushnī dar aa.ī

har ek ghūñT pe kuchh zindagī ke raaz khule

muhīt ho ga.ī kaun-o-makāñ gīrā.ī

magar ye jaam ke andar bhī kaisī tārīkī

bahut talḳh hai apnā ḳhumār-e-bāda-kashī

kahīñ charāġh bujhā jal uThe kahīñ fānūs

vahī tazād vahī hai kashākash-e-hastī

hayāt aaj kahāñ khīñch kar mujhe laa.ī

sambhāl sāqiyā miinā ko apne hāthoñ meñ

hayāt ke liye koī sharāb hai ki nahīñ

bas ek baar to aisī pilā de ai saaqī

ki hosh aa na sake tere piine vaale ko

Top Urdushayar.com