Anjum Azmi

dewdas

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941

zindagī ishq vahshat-bharā afsāna thī

mere hāthoñ meñ vo ik zahr paimāna thī

ruuh ġham ma-e-gulfām se kam kyā hotā

koī tiryāk ba-juz vasl-e-sanam kyā hotā

kho ga.ī 'pārbatī' rotī rahī 'chandrmukhī'

zindagī luTtī rahī rāh-guzāroñ meñ mirī

ġhamgusāroñ bhī yaad aa.ī magar bhuul gayā

us bāñhoñ ke sivā kuchh na mujhe yaad rahā

ik ubhartī rahī tasvīr ḳhalā meñ barsoñ

maiñ akelā phirā dasht-e-vafā meñ barsoñ

jal bujhā jism ke hamrāh dil-e-sozāñ tak

jaan dene chalā aayā huuñ dar-e-jānāñ tak

mar rahūñ jaise be-bas-o-lāchār mare

kyā qayāmat hai ki yuuñ ishq bīmār mare

nā-umīdī hai ki ab tāqat-e-dīdār ga.ī

ruḳh-e-jānāñ havas rūh-e-giraftār ga.ī

raat lo ḳhatm huī aur zabāñ band huī

mujh ko ma.alūm thā ḳhāmosh saverā hogā

log pheñk ā.eñge mujh ko jahāñ us marghaT par

maut chhāyā huā ghor añdherā hogā

chiil kavvoñ ne magar laash ke TukḌe kar ke

har taraf kūcha-e-jānāñ meñ bikherā hogā

Top Urdushayar.com