Anjum Azmi

sal-e-nau

Anjum Azmi

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1941

ab raat Dhal rahī hai koī do vaqt hai

āñkhoñ meñ niiñd jhuul rahī hai abhī talak

lekin maiñ sāl-e-nau ke liye jāgtā rahūñ

ummīd ke charāġh jalā.ūñ na.e na.e

baiThā huuñ ḳhāmushī navāoñ ko chheḌ kar

apne ġhamoñ se aaj bhī fursat nahīñ mujhe

palkoñ pe aaj bhī to larazte haiñ ye diye

lekin unhīñ ġhamoñ se nayā āstāñ banā

vaj.h-e-sukūñ hai aaj ḳhayāl-e-gurez-pā

TuuTe hue diloñ ko sahārā bhī de sakā

jab dil dhaḌkanoñ se mile dars-e-āgahī

phir kis liye junūñ meñ koī intishār ho

nā-kāmiyāñ hayāt sharmā na jā.eñgī

is des fazāoñ se gar ham ko pyaar ho

in mai-kadoñ se kal bhī na thā mujh ko vāsta

jin meñ lahū ke jaam uThāte haiñ hukmarāñ

ehsās nigāh magar dekhtī hai ab

kuchh aur tez-gām huā kārvān-e-shauq

aur sāl-e-nau bhī saath isī kārvāñ ke hai

in jhoñpaḌoñ meñ aaj charāġhāñ nahīñ to kyā

do-chār saal aur bhī imkāñ nahīñ to kyā

fasl-e-bahār aa.egī jhūmeñgī Dāliyāñ

phūloñ meñ paat paat meñ rañgat samā.egī

hoñge kabhī to jām-ba-kaf ḳhās-o-ām sab

har har nigāh sāġhar-o-mīnā uThā.egī

zulf-e-hayāt shauq se parcham uḌā.egī

maiñ aaj sāl-e-nau ke liye jāgtā rahūñ

ummīd ke charāġh jalā.ūñ na.e na.e

Top Urdushayar.com