ye  maujūda  tarīqe  rāhi-e-mulk-e-adam  hoñge
na.ī  tahzīb  hogī  aur  na.e  sāmāñ  baham  hoñge
na.e  unvān  se  zīnat  dikhā.eñge  hasīñ  apnī
na  aisā  pech  zulfoñ  meñ  na  gesū  meñ  ye  ḳham  hoñge
na  ḳhātūnoñ  meñ  rah  jā.egī  parde  kī  ye  pābandī
na  ghūñghaT  is  tarah  se  hājib-e-rū-e-sanam  hoñge
badal  jā.egā  andāz-e-tabā.e  daur-e-gardūñ  se
na.ī  sūrat  kī  ḳhushiyāñ  aur  na.e  asbāb-e-ġham  hoñge
na  paidā  hogī  ḳhat-e-nasḳh  se  shān-e-adab-āgīñ
na  nastālīq  harf  is  taur  se  zeb-e-raqam  hoñge
ḳhabar  detī  hai  tahrīk-e-havā  tabdīl-e-mausam  kī
khileñge  aur  hī  gul  zamzame  bulbul  ke  kam  hoñge
aqā.ed  par  qayāmat  aa.egī  tarmīm-e-millat  se
nayā  ka.aba  banegā  maġhribī  putle  sanam  hoñge
bahut  hoñge  muġhannī  naġhma-e-taqlīd  europe  ke
magar  bejoḌ  hoñge  is  liye  be-tāl-o-sam  hoñge
hamārī  istelāhoñ  se  zabāñ  nā-āshnā  hogī
luġhāt-e-maġhribī  bāzār  kī  bhāshā  se  zam  hoñge
badal  jā.egā  meyār-e-sharāfat  chashm-e-duniyā  meñ
ziyāda  the  jo  apne  zo.am  meñ  vo  sab  se  kam  hoñge
guzishta  azmatoñ  ke  tazkire  bhī  rah  na  jā.eñge
kitāboñ  hī  meñ  dafn  afsāna-e-jāh-o-hasham  hoñge
kisī  ko  is  taġhayyur  kā  na  his  hogā  na  ġham  hogā
hue  jis  saaz  se  paidā  usī  ke  zer-o-bam  hoñge
tumheñ  is  inqilāb-e-dahr  kā  kyā  ġham  hai  ai  'akbar'
bahut  nazdīk  haiñ  vo  din  ki  tum  hoge  na  ham  hoñge