sar  meñ  shauq  kā  saudā  dekhā
dehlī  ko  ham  ne  bhī  jā  dekhā
jamunā-jī  ke  paaT  ko  dekhā
achchhe  suthre  ghaaT  ko  dekhā
palTan  aur  risāle  dekhe
gore  dekhe  kaale  dekhe
ḳhemoñ  kā  ik  jañgal  dekhā
us  jañgal  meñ  mañgal  dekhā
saḌkeñ  thiiñ  har  kamp  se  jaarī
paanī  thā  har  pump  se  jaarī
Daalī  meñ  nārañgī  dekhī
mahfil  meñ  sārañgī  dekhī
achchhe-achchhoñ  ko  bhaTkā  dekhā
bhiiḌ  meñ  khāte  jhaTkā  dekhā
hāthī  dekhe  bhārī-bharkam
un  kā  chalnā  kam  kam  tham  tham
pur  thā  pahlū-e-masjid-e-jāme
raushaniyāñ  thiiñ  har-sū  laame
surḳhī  saḌak  par  kuTtī  dekhī
saañs  bhī  bhiiḌ  meñ  ghuTtī  dekhī
chaukī  ik  chau-lakhkhī  dekhī
ḳhuub  hī  chakkhī-pakhkhī  dekhī
ek  kā  hissa  mann-o-salvā
ek  kā  hissa  thoḌā  halvā
avaj  brīsh  raajā  dekhā
partav  taḳht-o-tāj  kā  dekhā
pahuñche  phāñd  ke  saat  samundar
tahat  meñ  un  ke  bīsoñ  bandar
auj-e-baḳht-e-mulāqī  un  kā
charḳh-e-haft-tabāaqī  un  kā
ham  to  un  ke  ḳhair-talab  haiñ
ham  kyā  aise  hī  sab  ke  sab  haiñ
egzibshan  kī  shaan  anokhī
har  shai  umda  har  shai  chokhī
jashn-e-azīm  is  saal  huā  hai
shāhī  fort  meñ  ball  huā  hai
hai  mash.hūr-e-kūcha-e-barzan
ball  meñ  nācheñ  lady-corzon
hall  meñ  chamkīñ  aa  ke  yakā-yak
zarrīñ  thī  poshāk  jhkā-jhak
go  raqqāsa-e-auj-e-falak  thī
us  meñ  kahāñ  ye  nok-palak  thī
kī  hai  ye  bandish  zehn-e-rasā  ne
koī  maane  ḳhvāh  na  maane