vaqt  ne  ham  ko  kis  raste  par  lā  Daalā  hai
donoñ
tū  bhī  āḳhir  insāñ  hai
tere  paas  bhī  armānoñ  kā  resham  hogā
mere  paas  bhī  ḳhvāboñ  kī
kuchh  dhajjiyāñ  baaqī  haiñ
kabhī  kabhī  bistar  meñ  leTe
maiñ  ne  apne  aur  tire  mābain
ik  aisī  majbūr  sī  hamdardī  kī  Dorī  meñ
ham  donoñ  bañdhe  hue  haiñ
vaqt  kā  jabr  bhī  kaisā  hai
tujh  ko  ''tū''  nahīñ  rahne  detā