Nushur Wahidi

jalwa-e-sahar

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983
tamām aurāq shabnamistān-e-sahar kī kirnoñ se jagmagā.e
tulūa hotī hai sub.h jaise kalī tamannā kī muskurā.e
kahīñ daraḳhtoñ meñ ġhol chiḌiyā kā baiTh kar chahchahā rahā hai
kahīñ se totoñ kā jhunD uTThā fazā-e-gulshan meñ ġhul machā.e
saḌak jo aatī hai chhāvnī se chahal-pahal us pe ḳhuub hī hai
nikal ke gunjān bastiyoñ se barā-e-tafrīh sab haiñ aa.e
usī pe aatā hai ek motor bhī Dāk-ḳhāne kī Daak lene
usī pe jaate haiñ kuchh dehātī ladī huī gāḌiyāñ hakā.e
Tahalne jaatī haiñ laḌkiyāñ kuchh hasīn phūloñ kī kyāriyoñ meñ
nigāh-jādū shabāb-jādū jo aañkh Daale vo luT hī jaa.e
idhar se gañgā ko jā rahe haiñ kuchh aadmī chhāgaleñ sambhāle
udhar se gañgā se aa rahī hai kuchh aurteñ nuur meñ nahā.e
udhar se collage kī ek laḌkī bhī apne collage ko jā rahī hai
kitāb daabe qadam baḌhā.e shabāb thāme nazar jhukā.e
udhar se ek naujavān lady na.e ḳhayāloñ kī aa rahī hai
nigāh-e-raqsāñ shabāb uryāñ jo is ko dekhe vo muskurā.e
udhar se shā.ir 'nushūr'-e-hairāñ bhī apnī sairoñ meñ jā rahā hai
qadam taḳhayyul meñ Dagmagā.e na.e shabāboñ se choT khaa.e
Top Urdushayar.com