Nushur Wahidi

jalwa-e-sahar

Nushur Wahidi

Ballia, Uttar pradesh, India

1912-1983

tamām aurāq shabnamistān-e-sahar kirnoñ se jagmagā.e

tulūa hotī hai sub.h jaise kalī tamannā muskurā.e

kahīñ daraḳhtoñ meñ ġhol chiḌiyā baiTh kar chahchahā rahā hai

kahīñ se totoñ jhunD uTThā fazā-e-gulshan meñ ġhul machā.e

saḌak jo aatī hai chhāvnī se chahal-pahal us pe ḳhuub hai

nikal ke gunjān bastiyoñ se barā-e-tafrīh sab haiñ aa.e

usī pe aatā hai ek motor bhī Dāk-ḳhāne Daak lene

usī pe jaate haiñ kuchh dehātī ladī huī gāḌiyāñ hakā.e

Tahalne jaatī haiñ laḌkiyāñ kuchh hasīn phūloñ kyāriyoñ meñ

nigāh-jādū shabāb-jādū jo aañkh Daale vo luT jaa.e

idhar se gañgā ko rahe haiñ kuchh aadmī chhāgaleñ sambhāle

udhar se gañgā se aa rahī hai kuchh aurteñ nuur meñ nahā.e

udhar se collage ek laḌkī bhī apne collage ko rahī hai

kitāb daabe qadam baḌhā.e shabāb thāme nazar jhukā.e

udhar se ek naujavān lady na.e ḳhayāloñ aa rahī hai

nigāh-e-raqsāñ shabāb uryāñ jo is ko dekhe vo muskurā.e

udhar se shā.ir 'nushūr'-e-hairāñ bhī apnī sairoñ meñ rahā hai

qadam taḳhayyul meñ Dagmagā.e na.e shabāboñ se choT khaa.e

Top Urdushayar.com