bachchoñ  ne  iid  par  jab  na.are  bahut  lagā.e
maañ  baap  ne  bhī  apne  dukhḌe  unheñ  sunā.e
tum  ḳhud  hī  kah  rahe  ho  mahñgā.ī  baḌh  ga.ī  hai
aam  aadmī  bechārā  kyā  khaa.e  kyā  bachā.e
patlūn  kī  silā.ī  pachchānve  rūpa.e  dī
urfī  ke  boot  sāḌhe-chhai-sau  ruupe  meñ  aa.e
be-mel  suiT  ho  to  ban  jaa.e  muñh  zaman  kā
sastī  agar  ho  Topī  faizān  bhinbhinā.e
bachpan  meñ  khelte  the  miTTī  ke  ham  khilaune
bijlī  se  chalne  vaale  guDDe  tumheñ  dilā.e
jaa.ez  nahīñ  taqāzā  lālach  burī  balā  hai
na.are  lagā  ke  tum  ne  ghar  bhar  pe  zulm  Dhaa.e
tum  ne  to  apne  dil  kī  ammī  se  kah  sunā.ī
abbā  ke  dil  se  pūchho  biptā  kise  sunā.e
ye  baat  bhī  girah  meñ  paisoñ  ke  saath  bāñdho
sachchī  ḳhushī  vahī  hai  jo  muft  haath  aa.e
achchhā  hameñ  sivayyāñ  mil-jul  ke  tum  khilāo
ham  ne  tumhāre  paise  is  eid  se  baḌhā.e