Mohammad Shahbaz Akmal

kanch

Mohammad Shahbaz Akmal

thakā-hārā azal vus.atoñ meñ ḳhaak putlā

hazāroñ man tārīkī tale thā sākit-o-jāmid

ghaḌī meñ kyā huā kyuuñ is qadar miTTī ke paikar ne

ajab larza, ajab jumbish, ajab harakat se bal khāyā

kisī sayyāl mādde bahut shaffāf qatra

girā aur khub gayā, is ḳhaak ke be-laus TukḌe par

phir ik āvāz! shāyad thā sadā-e-kun se ġhul barpā

usī sayyāl mādde se banā ik jazba-e-sozāñ

mohabbat rutūbat ne talātum-ḳhez gardish

surūd-e-himmat-e-ālī usī mizrāb se phūTā

usī jauhar jumbish se to ġhairat sar uThātī hai

sitam ke zahr tiryāq āḳhir ''sāñch'' bantā hai

Top Urdushayar.com