Maikash Akbarabadi

andha

Maikash Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1902-1991

suntā hai husn-e-shams-o-qamar dekhtā nahīñ

ya.anī nizām-e-shām-o-sahar dekhtā nahīñ

us ke bhī pairahan pe gunāhoñ ke daaġh haiñ

duniyā ko chāhtā hai magar dekhtā nahīñ

us ko bhī haiñ nasīb mohabbat lazzateñ

dil thāmtā hai tīr-e-nazar dekhtā nahīñ

us ke bhī dil meñ aag bhaḌaktī hai ishq

jaltā hai aur raqs-e-sharar dekhtā nahīñ

us ke bhī sar ne paayā hai ehsās-e-bandagī

sajda meñ gar jaatā hai dar dekhtā nahīñ

us ko sambhāl letī haiñ har baar Thokareñ

chaltā hai aur rāhguzar dekhtā nahīñ

bātoñ se taaḌ letā hai bātin hālateñ

miltā hai aur rū-e-bashar dekhtā nahīñ

hañstā hai sirf apne liye ġhair par nahīñ

rotā hai aur dāman-e-tar dekhtā nahīñ

ma.alūm hai tamavvul-o-ġhurbat kashmakash

āñkhoñ se imtiyāz-e-nazar dekhtā nahīñ

us ko sukūn chāhiye jiine ke vāste

rahtā hai aur apnā ghar dekhtā nahīñ

Top Urdushayar.com