ye  dhartī  ye  jīvan-sāgar  ye  sansār  hamārā  hai
amrit  bādal  ban  ke  uThe  haiñ  parbat  se  Takrā.eñge
khetoñ  kī  hariyālī  ban  kar  chhab  apnī  dikhlā.eñge
duniyā  kā  dukh-sukh  apnā  kar  duniyā  par  chhā  jā.eñge
zarra  zarra  is  duniyā  kā  aaj  gagan  kā  taarā  hai
ye  dhartī  ye  jīvan-sāgar  ye  sansār  hamārā  hai
dukh  bandhan  kaT  jā.eñge  sukh  kā  sandesa  aa.egā
miTTī  ab  sonā  uglegī  bādal  hun  barsā.egā
mehnat  par  hai  jis  kā  bharosa  mehnat  kā  phal  pā.egā
apne  hī  kas-bal  kā  samundar  vaqt  kā  bahtā  dhārā  hai
ye  dhartī  ye  jīvan-sāgar  ye  sansār  hamārā  hai
sapnoñ  ke  sundar  āñchal  se  aashā  ruup  dikhātī  hai
apnī  hī  āvāz  kī  lai  par  saarī  duniyā  gaatī  hai
aaj  tirañge  kī  lahroñ  meñ  bijlī  sī  lahrātī  hai
ek  hī  vaar  meñ  ab  ai  sāthī  dushman  se  chhuTkārā  hai
ye  dhartī  ye  jīvan-sāgar  ye  sansār  hamārā  hai