ġharībī  ko  miTā  deñge  ġharībī  ko  miTā  deñge
ham  apne  bāzuoñ  kā  zor  duniyā  ko  dikhā.eñge
dar-e-insāniyat  par  zālimoñ  ke  sar  jhukā  deñge
ġharībī  ko  miTā  deñge  ġharībī  ko  miTā  deñge
kisī  ke  aish  se  be-vāsta  ranjish  nahīñ  ham  ko
kisī  ke  sīm-o-zar  se  be-sabab  kāvish  nahīñ  ham  ko
magar  ham  zulm  ke  baḌhte  hue  sho.ale  bujhā  deñge
ġharībī  ko  miTā  deñge  ġharībī  ko  miTā  deñge