Ahmad Nadeem Qasmi

izhaar

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006

tujhe iz.hār-e-mohabbat se agar nafrat hai

ne hoñToñ ko larazne se to rokā hotā

be-niyāzī se magar kāñptī āvāz ke saath

ne ghabrā ke mirā naam na pūchhā hotā

tere bas meñ thī agar mash.al-e-jazbāt lau

tere ruḳhsār meñ gulzār na bhaḌkā hotā

yuuñ to mujh se huiiñ sirf āb-o-havā bāteñ

apne TuuTe hue fiqroñ ko to parkhā hotā

yūñhī be-vaj.h ThiTakne zarūrat kyā thī

dam-e-ruḳhsat maiñ agar yaad na aayā hotā

terā ġhammāz banā ḳhud tirā andāz-e-ḳhirām

dil na sambhlā thā to qadmoñ ko sambhālā hotā

apne badle mirī tasvīr nazar aa jaatī

ne us vaqt agar aa.ina dekhā hotā

hausla tujh ko na thā mujh se judā hone

varna kājal tirī āñkhoñ meñ na phailā hotā

Top Urdushayar.com