Ahmad Nadeem Qasmi

naya sal

Ahmad Nadeem Qasmi

Sargodha, Punjab, Pakistan

1916-2006
raat kī uḌtī huī raakh se bojhal hai nasīm
yuuñ asā Tek ke chaltī hai ki rahm aatā hai
shāḳheñ hāthoñ meñ liye kitnī adhūrī kaliyāñ
māñgtī haiñ faqat ik narm sī jumbish kī duā
sar pe apnī hī shikastoñ ko uThā.e hue log
ik dorāhe pe girohoñ meñ khaḌe haiñ tanhā
yak-ba-yak fāsle tāñbe kī tarah bajne lage
qadam uThte haiñ to zarre bhī sadā dene lage
dard ke pairhan-e-chāk se jhāñko to zarā
murda sūraj pe laTakte hue maile bādal
Top Urdushayar.com