Asim Badr

muskurahaT

Asim Badr

Darbhanga, Bihar, India

1992

dard ke lā-matanāhī sahrā se guzarne ke baad maañ ne āñkheñ kholīñ

dekhā duā ke liye uThe haath gir chuke the kyūñki maiñ

maiñ bārah saal thī jab mujhe pahlī dafa ḳhuun aayā

daadī baabā sab ke kañdhe izāfī bojh se jhuk ga.e kyūñki maiñ ro rahī thī

maiñ aThārah saal thī jab mere ghar pahlā patthar girā aur phir mujhe do ajnabī hāthoñ ne narmī se thāmā

baabā aañkh nam ho ga.ī kyūñki maiñ ro rahī thī

mujhe ḳhuun aanā band ho ga.e the aur sab ke haath duāoñ ke liye uTh chuke the

aur phir sab ke haath gir ga.e kyūñki vo ro rahī thī

phir ek din mere bhaa.ī ne ek ḳhuun kar diyā maiñ vinnī ho ga.ī aur sabhī chup rahe

sabhī chup rahe aur maiñ rotī rahī

Top Urdushayar.com