ai  zan-e-nāpāk  fitrat-e-paikar-e-makr-o-riyā
dushman-e-mehr-o-vafā  ġhārat-gar-e-sharm-o-hayā
terī  ho  shoḳhī  lachar  hai  terā  har  andāz  poch
saḳht-tar  hai  sañg-o-āhan  se  tirī  bāhoñ  kā  loch
terā  zāhir  ḳhushnumā  hai  terā  bātin  hai  siyāh
har  adā  terī  mukammal  dāvat-e-jurm-o-gunāh
terī  chuTkī  kī  sadā  hai  yā  ki  shaitāñ  kā  ḳharosh
rahm  kar  insāniyat  par  o  but-e-ismat-farosh
al-amāñ  ai  tere  masnūī  tabassum  kā  fareb
thartharā  uThtī  hai  jis  ke  zor  se  nabz-e-shakeb
ye  nazākat  kī  numā.ish  ye  fareb-āmez  chaal
dosh-e-hastī  par  terā  nāpāk  hastī  hai  vabāl
tere  har  ġhamze  kī  tah  meñ  hai  banāvaT  kā  shikva
jis  ke  aage  sar-ba-sajda  ma.asiyat  ke  dasht-o-koh
terā  chehra  arġhavānī  terā  dil-e-be-āb-o-rañg
zindagī  kyā  hai  tirī  qānūn  se  fitrat  ke  jañg
terī  peshānī  kā  har  ḳhat  māsiyat-ālūda  hai
terā  har  iqdām  nā-farjām  hai  ba-hūda  hai
tere  hoñToñ  par  hañsī  hai  dil  tirā  afsurda  hai
tū  ba-zāhir  jī  rahī  hai  ruuh  terī  murda  hai
tū  husūl-e-zar  kī  ḳhātir  kis  qadar  bechain  hai
kasab-e-daulat  zindagī  kā  terī  nasabulain  hai
tere  maz.hab  meñ  hifāzat  aabrū  kī  hai  gunāh
māñgtī  hai  terī  bātoñ  se  nissā.iyat  panāh
terā  dil  hai  zañg-ālūda  magar  chehra  hai  saaf
tere  zāhir  aur  bātin  meñ  hai  kitnā  iḳhtilāf
jāntī  hai  apnī  rusvā.ī  ko  to  vaj.h-e-numūd
sinf-e-nāzuk  kī  khulī  tauhīn  hai  terā  vajūd
terī  bedārī  nahīñ  hai  ik  musalsal  ḳhvāb  hai
kyā  tū  vāqif  hai  ki  ismat  gauhar-e-nāyāb  hai
jāntā  huuñ  terī  bāhoñ  kī  lachak  ko  bad-shi.ār
kyuuñ  dikhātī  hai  jaḌāv  kañganoñ  ko  bār-e-abr
merī  nazroñ  ko  ḳhudā-rā  dāvat-e-kāvish  na  de
jagmagāte  motiyoñ  ke  haar  ko  jumbish  na  de
reshmīñ  rūmāl  se  hoñToñ  kī  surḳhī  ko  na  chhū
mujh  pe  chhal  saktā  nahīñ  terā  fareb-e-rañg-o-bū
zulf-e-mushkīñ  ko  hinā.ī  uñgliyoñ  se  mat  sambhāl
khul  chukā  hai  merī  nazroñ  par  terā  rāz-e-jamāl
reshmīñ  saaḌī  ko  sar  se  ḳhud  hī  Dhalkātī  bhī  hai
bil-irāda  be-hayā.ī  kar  ke  sharmātī  bhī  hai
siskiyāñ  bhartī  hai  to  añgḌā.iyāñ  letī  hai  to
uf  ai  makkāra  bharī  mahfil  ko  jal  detī  hai  tū
koī  ho  jaatā  hai  jab  tere  tasanño  kā  shikār
chupke  chupke  kaam  kartā  hai  fareb-āmez  pyaar
tū  dilā  detī  hai  us  ko  apnī  ulfat  kā  yaqīñ
sach  to  ye  hai  tere  kaaTe  kā  koī  mantar  nahīñ
zindagī  ko  is  kī  yaksar  talḳh  kar  detī  hai  tū
kaañp  jaatā  hai  jigar  vo  chuTkiyāñ  letī  hai  tū
bhāgtā  hai  jaise  koī  saañp  kī  phunkār  se
duur  rahnā  chāhiye  yuuñ  hī  tire  kirdār  se