Khalid Irfan

taKHrib-karon ki shahadat

Khalid Irfan

ek din jannat meñ bolā ik shahīd-e-haq-shanās
maslak-e-haq par nahīñ hai merī jannat kī asaas
qātil o zālim dar-e-jannat pe mañDlāne lage
arz-e-pakistan se kitne shahīd aane lage
sāmne jannat ke ye jo ḳhema-e-arvāh hai
ye inhīñ ja.alī shahīdoñ kī iqāmat-gāh hai
ye shahīd-e-haq samajh baiThe haiñ apne-āp ko
maiñ to jannat meñ na aane dūñgā in ke baap ko
ye agar jannat meñ dāḳhil ho ga.e sirf ek baar
phir kahāñ jā.eñge ham jaise shahīd-e-haq-shi.ār
duudh kī naharoñ meñ kuchh paanī milā deñge ye log
shahad kī naddī ko Theke par uThā deñge ye log
qaumiyat kā mas.ala phir se jagā deñge ye log
merī jannat ke ka.ī suube banā deñge ye log
dahshateñ jannat meñ le ā.eñge pakistan se
huur ko iġhvā karā leñge kisī ġhilmān se
aa.i.e maiñ in shahīdoñ ko milā.ūñ aap se
aap thoḌī duur haiñ jannat ke bus-stop se
aap se miliye ye dushman ke bahut hamdard haiñ
aap shaklan hī nahīñ naslan bhī dahshat-gard haiñ
dahshateñ ik policy haiñ jis ke maker aap haiñ
tīsrī duniyā ke pahle high-jecker aap haiñ
ye shahīd-e-bā-vafā haiñ mārte the bol ke
rail kī paTrī ke purze darmiyāñ se khol ke
lamha-e-Dāka-zanī siine pe golī khaa.ī thī
aap ne ik bank ke andar shahādat paa.ī thī
aap pakistan ke ik rahbar-e-mumtāz haiñ
saiñkaḌoñ rūheñ yahāñ bhī in kī ham-āvāz haiñ
phir shahīd-e-haq ye bolā ai ḳhuda-e-zul-jalāl
ālam-e-arvāh se ja.alī shahīdoñ ko nikāl
qādir-e-mutlaq hai tū in ko dobāra age de
in shahīdoñ ko tū duniyā hī meñ vāpas bhej de
Top Urdushayar.com