Khalid Irfan

kan khol kar

Khalid Irfan

kuchh sher-go parāyā qalam-dān khol kar
kahte haiñ sher 'mīr' kā dīvān khol kar
biivī ke sāmne jo zabāñ kholte nahīñ
chalte haiñ raah meñ vo garebān khol kar
tum nāshte kī mez pe baiThī ho is tarah
jaise ki rakh diyā ho namak-dān khol kar
'ḳhālid' hamāre sher adab ke ye azhdahe
sunte haiñ muñh ko band kiye kaan khol kar
Top Urdushayar.com