sub-way meñ nazar aa.ī mujhe ek hasīna
ruusī nazar aatī thī haqīqat meñ thī chīnā
andar kī fazā aur thī bāhar kī fazā aur
maada thī magar chaal se lagtī thī narīna
bolī ki mujhe log pukārā kiye mary
daddy ne mirā naam to rakhā thā marīna
shalvār ko nekar kiyā banyān ko rūmāl
maiñ rāh-e-taraqqī pe chaḌhī zīna-ba-zīna
ab mujh ko dupaTTe kī zarūrat hī nahīñ hai
maġhrib ne sikhāyā mujhe jiine kā qarīna
maiñ ek hī andāz ke kapḌoñ meñ milūñgī
ho june kā session ki december kā mahīna
desī thī magar ruup meñ kaalī kī tarah thī
vo garm bahut chaa.e kī pyālī kī tarah thī
pistol kī tarah aañkh to golī kī tarah hoñT
aur naak to bandūq kī naalī kī tarah thī
aa.ī thī yahāñ zulf-e-girah-gīr kaTā kar
mashriq kī havā bād-e-shumālī kī tarah thī
us kā bhī na thā merī tarah koī bharosa
beñgan kī tarah maiñ huuñ vo thālī kī tarah thī
har uzv-e-badan misra-e-ġhālib kī tarah thā
chehre kī chamak matla-e-hālī kī tarah thī