Khalid Irfan

chhuara dekhna

Khalid Irfan

pahle gyārah the pisar is saal baara dekhnā
ishq ke aḳhbār kā taaza shumāra dekhnā
chūñki ham donoñ hī būḌhe ho chuke haiñ is liye
maiñ suhāgan DhūñDhtā huuñ tum kañvārā dekhnā
maiñ tumhārī lāTrī meñ jab nikal aayā to phir
apnī ammī se kaho kyā istiḳhārā dekhnā
un kī ammī jaan meñ un se zyāda jaan hai
lazzat-e-ālū pas-e-ālū buḳhārā dekhnā
hai kisī tifl-e-muhājir kī tarah sahmā huā
'ḳhālid-e-irfāñ' kī shādī kā chhuārā dekhnā
Top Urdushayar.com