ham ne dekhe haiñ vo U-S ke nirāle kutte
kāTne vaale nahīñ bhūñkne vaale kutte
silsile pyaar ke haivān se joḌe us ne
maiñ to insān huuñ kutte bhī na chhoḌe us ne
is mudārāt pe shauhar ko bhī hirs aatī hai
apne hāthoñ se vo buldog ko nahlātī hai
har taraf kūcha-e-dildār meñ zam kutte haiñ
zulm koī bhī ho arbāb-e-sitam kutte haiñ
haath meñ le ke tab-o-tāb jahāñ-bānoñ kī
rassiyāñ khīñchte rahte haiñ ye insānoñ kī
ham se kahte haiñ zarā aur hilāo dum ko
dum hilāne kā salīqa nahīñ aatā tum ko
ek kutte ne kahā maiñ jo hasīñ rahtā huuñ
kyuuñ samajhte ho mujhe ḳhāk-nashīñ rahtā huuñ
mujh ko khāne meñ jo ḳhūrāk yahāñ miltī hai
vo tire mulk ke logoñ ko kahāñ miltī hai
har ishā.at pe mirī chauñkte rah jaate haiñ
maiñ guzar jaatā huuñ ye bhūñkte rah jaate haiñ