Ameer Aurangabadi

KHat ka intizar

Ameer Aurangabadi

roz-o-shab rahtā hai mujh ko un ke ḳhat intizār

kis tarah bahlā.ūñ dil ko kis tarah pā.ūñ qarār

dar pe bāñdhe TukTukī maiñ dekhtī huuñ baar baar

paas mere aaj shāyad aa.egā paiġhām-e-yār

ke aahaT nāma-bar kuchh sukūñ paatī huuñ maiñ

ik hayāt-e-nau mujhe miltī hai khil jaatī huuñ maiñ

duur hotī hai taḌap kāfūr ho jaatī hai yaas

dekhtī huuñ shauq nazroñ se apnī ās-pās

naama kyā aayā ki goyā aa ga.e vo mere paas

phuul jaatī huuñ masarrat se badaltī huuñ libās

paḌhtī rahtī huuñ maiñ pahroñ ant kuchh maatā nahīñ

dard-o-ġham dāstāñ bhī ḳhatm hotī hai kahīñ

ḳhat ko āñkhoñ se lagā kar chūmtī huuñ dam-ba-dam

taaki qalb-e-muztarib saarī betābī ho kam

toltī huuñ harf saare ishq mīzān meñ

aur samo letī huuñ un husn apnī jaan meñ

Top Urdushayar.com