kitābeñ  jhāñktī  haiñ  band  almārī  ke  shīshoñ  se
baḌī  hasrat  se  taktī  haiñ
koī  safha  palaTtā  huuñ  to  ik  siskī  nikaltī  hai
ka.ī  lafzoñ  ke  ma.anī  gir  paḌe  haiñ
jo  miTTī  ke  sakoroñ  kī  tarah  bikhrī  paḌī  haiñ
gilāsoñ  ne  unheñ  matrūk  kar  Daalā
kitāboñ  se  jo  zaatī  rābta  thā  kaT  gayā  hai
kabhī  siine  pe  rakh  ke  leT  jaate  the
vo  saarā  ilm  to  miltā  rahegā  ā.inda  bhī
magar  vo  jo  kitāboñ  meñ  milā  karte  the  sūkhe  phuul  aur